Israel aur Hezbollah ke Beech 21 Din ka Ceasefire Agreement:
Israel aur Hezbollah ke beech ek ahm ceasefire agreement 27 November 2024 ko sign kiya gaya hai.
US aur France Ke Madad Se Israel aur Hezbollah Ne Ceasefire Par Kiya Dastakhat
Yeh ceasefire, jo ki Israel aur Lebanon ke border par ek temporary ke21 din liye laye gaya hai, dono taraf ke liye ek zaroori faida ho sakta hai. Yeh agreement isliye khaas hai kyunki isme Israel ki taraf se kuch naye aur zyada sakht demands rakhi gayi hain, jaise ki Hezbollah ko Litani river ke north tak limit karna aur unke infrastructure ko destroy karna.
Pehle, Hezbollah sirf Gaza ke issue par focus kar raha tha, lekin ab unhone yeh man liya hai ki agar unhe Lebanon mein apni position strong rakhni hai, toh unhe Israel ke saath is agreement par aana hoga. Is agreement mein ek naya element bhi hai, jisme Israel ko kisi bhi violation ke case mein military action lene ka haq diya gaya hai, jise US ne legalize kiya hai.
Yeh ceasefire 21 din tak chalega, jisme Israeli forces ko apne positions border par reposition karne ka time milega, aur yeh waqt Gaza ke broader conflict ko negotiate karne ke liye bhi use kiya jayega. US aur France ke diplomats ne is agreement ko finalize kiya hai, aur yeh dono taraf se ek significant step hai towards de-escalation.
Agar yeh agreement successful hota hai, toh yeh Israel aur Hezbollah ke beech kuch waqt ke liye peace establish karne ka chance de sakta hai, lekin iski implementation kaafi challenging hogi, kyunki dono sides ke liye is agreement mein kuch harsh terms hain. Isliye international community ko yeh dekhna hoga ki yeh ceasefire kitni der tak successful rahega.