“Reliance Industries Reports Strong Q3 2025 Performance, Jio and Retail Drive Growth”

“Reliance Industries Reports Strong Q3 2025 Performance, Jio and Retail Drive Growth”

Mumbai: Reliance Industries Limited (RIL) ne apne 2025 ki teesri timahi ke financial results announce kiye hain, jisme company ke alag-alag business segments mein mixed performance dekhne ko mila.

Key highlights

 

  •      Jio

Reliance Jio ka performance quarter mein kaafi strong raha. Average Revenue Per User (ARPU) ₹195.1 se badhkar ₹205 ho gaya.    Total subscribers ki sankhya 485 million tak pahunch gayi, jo pichli quarter ke 478.8 million se zyada hai.

  • O2C Segment:

Refining margins mein improvement dekhne ko mili, jo per barrel $7.6 tak pahunch gaye, pichli quarter ke $5.6 se upar. Lekin, O2C segment ka overall performance year-on-year thoda weak raha, lekin quarterly basis par 2% ki growth dekhne ko mili.

  • Retail:

Retail segment ne bhi achha performance diya, khaas karke festive season mein sales badhi. Year-on-year growth thoda slow thi lekin per square foot retail revenue mein 7% ki growth hui.

Company ka consolidated EBITDA quarter-on-quarter basis par improve hua, jo mainly Jio aur Retail ke achhe results ki wajah se tha. Lekin, O2C segment ke weak performance ke chalte, year-on-year basis par EBITDA mein 1.5% ki decline dekhne ko mili.

Reliance Industries ki strong position aur diversified businesses ki wajah se, investors aur market experts company ke future performance ko lekar positive hain.

Leave a Comment